Monday, September 12, 2016

Kitna badal gaya Insaan!

Dekh tere sansar ki halat kya ho gayi bhagwan,
Kitna badal gaya insan.

Poojte hai jise, usipe jhagadte hai
Deti hai Jeevan jo, usi ke liye, marte maarte hai
Jalse jiske meetati hai jwala, usi ke liye jalate hai
Raakh banker jisme behna hai sabko, usi ke liye cheezen raakh kar dete hai

Dekh tere sansar ki halat kya ho gayi bhagwan,
Kitna badal gaya insan.

Maa ka darza diya ha jise, use baatne pe tula hai
Uska pyaar paaneke liye, aaj ek bhai dusre ko kaatne pe tula hai,
Us maa ke dil ki kabhi sochi?
Poochti tujhse, ye karke tujhe kya mila hai?

Dekh tere sansar ki halat kya ho gayi bhagwan,
Kitna badal gaya insan.

Yaha ugam sthan hai to humari hai?
Waha behke jaati hai to humari hai?
Nadi to sabke liye hai murkh insan,
Na wo humari, na hi wo tumhari hai.

Dekh tere sansar ki halat kya ho gayi bhagwan,

Kitna badal gaya insan.

5 comments: