Thursday, October 10, 2013

Wo Chehra..



Har pal wo chehra yaad aaya,
Jab jali hui roti khayi, to roti mein wo chehra yaad aya,
Bojhal hui aankhen aur mann bhar aaya,
Har pal wo chehra yaad aaya.

Bahut bura laga jab kaha jhooth usse,
Par khali pet aur kuch sujh nahi paaya,
Haan mein jawaab diya us sawaal ka,
Jab puchha usne – Beta? Tune khana khaaya?
Har pal wo chehra yaad aya.

Khali pet jab sone ka waqt aaya,
To uske haath ka khaana yaad aya,
Ghar jaane ke paise they nahi,
To saawan ka jhoka mujhe ghar le aaya!
Har pal wo chehra yaad aaya.


Buni thi pyar se mere liye jo rajai usne,
Achanak ek din almari se nikal laya,
Sirhane se rakhe, uspe haath ghumaya,
Na jaane kis baat pe fir rona aaya!
Har pal wo chehra yaad aaya.


Bistar pe let gaya sahi, par so nahi paaya,
Shayad us godh mein anjaane sar rakh aaya,
Mooda ek din achanak yuhi, jaise usne pyaar se bulaya,
Baith gaya dil mera, jab kisiko dekh na paaya.
Har pal wo chehra yaad aaya.

Ek pal milne par, lage waqt gujra sadiyon ka,
Chand lamhe gujre saath to lage maksad mil gaya jeeneka.

Ye rishta nahi khoon ka, yeh rishta hai dil ka,


Wo chehra kisi aur ka nahi wo chehra hai meri ma ka!


2 comments: